Tuesday, December 24, 2019

'MERRY CHRISTMAS' IN RAMGARH !!!

"GABBAR: 'Arrey o Sambha ! Kitne demons teh ?' 

SAMBHA: 'Pataa nahi Sarkar ! Hum sab log toh gaaon mein aapna aapna angels se chup chup ke milne ke liye jaate hain.' 

GABBAR: 'Gaaon ke angels ke saath bahut yaarana laagta hain, ish kaam ke waqt karte ho tum log woh kaam. Wage cut hoga, haan haan barabar hoga. Kab hain Holi ! Holi kab hain !' 

KAALIA: 'Sarkar ! Holi ka toh pataa nahi par aaj Jai aur Veeru ek daariwaala budhdha ke bhesh mein hain aur lal kapda pehne huye, aapne jhola se ek ek tohfa nikaal kar sab gaaonwaalon ko de raha hain. Hum logon ko bhi ek ek kar ke tohfa diya. Aap ke liye bhi ek tohfa diya hain. Yeh hain chota sa 'Dancing Doll of Vasanti', aur woh putlaa ke neeche, Thakur ne kuch likha hain aap ke liye. Hum toh anpadh gawaad hain Sarkar.'

GABBAR: 'Arrey ! O Sambha ! zaara padh ke toh sunah, ke kya likha hain Thakur ne.

SAMBHA: 'Filhaal ish janam mein ish gudiya se hee kaam chala lo BADMAASH; mein haathon se cake nahi kaat sakta, par tohfa toh bhejh sakta hoon, Gabbar ! Merry CHRISTMAS !'

GABBAR: 'Gaye teh khaali haath, aur tohfa le ke aa gaye. Kya soche teh, ki yeh tohfa dekhne ke baad tumhara Sarkar bahut khush hoga. Aab tera kya hoga Kaalia ?'

KAALIA: 'Maine aap ka namak khaaya hain Sarkar.'

GABBAR: 'Aab Christmas Cake kha. Arrey o Sambha, wahan se utar aur yahaan aake Cake ko kaat aur sab ko de de. Sabko mere taraf se, 'Merry Christmas'.'"- Arindam Sain.

No comments:

Post a Comment